bura lga na
jab duniya ne bina jane
tujhe judge kiya
teri safai ke bad bhi
tujhe gunehgar keh kiya...
kuch aisi hi hai ye duniya
sach ye sun nahi pati
or jhuth bolne par
laga deti hai hathkadiya...
ye jung sirf teri hai
kamar kas le or ho ja taiyar
ya toh apni
har khwaisho par tala dal...
khud pe shak kiya
toh mita diya jayega
bus kuch din tu yad rahega
fir tera astitva, kharte me aa jayega...
harna teri fidrat nahi
toh utha talwar, jung ka ailan kar
apne har katre ko, khud pe dan kar...
ban ja tu arjun
par na kisi krishna ka intezar kar
bus apni aakhiri saas tak
har dushman par war kar...
or fir is duniya se puch ek bar
bura lga na?
©Gaurav Bhagat