SUN NA!!
sun na meri ye bat
me hu hardum tere sath
chahe tum khush ho ya paresan
kuch toh h jinki tum ho jan!!!
kabhi kabhi waisa nahi hota jaisa
hum chahte h par accept toh karna hi hota h
toh kyu na has kar kare !!
dekh jo beet gayi wo bat gayi
karte h na kuch shuruaat nayi
chal na ..man na meri bat
mat man tu har meri sherni!!
maf kar de kud ko
aur unko bhi jo kar na sake tujse waisa pyar
jaisa tum kar bhaiti!
sayad wo tha nahi tumara kabhi!!!
har chamkati cheez sona nahi hoti ..
aur waise bhi tum toh hira ho.
aur kud ko jyada pyar karo
apne liye apne sapno ke liye
bhul jana tu sab kadwi yadein
aur chal sun na
ye pagal sreya ko wapas la na!
jo jiddi h kud ke liye apne sapno ke liye..
usko mat bhula na..
sun na!!!
#Sun na