aaj dil ne aisi khwahish ki h
badi mushkil se
yeh baat zahir ki h
bheege baadlon ko
dur baith k dekhne ki hasrat
tum garam chai k sath
apne saye ki garmaht dena
ha mujhe pta h yeh sb bs
mere liye hi itna romantic h
par mere liye toh kr hi skte ho
jab boodein mitti ko geeli
kregi
tb jorse gale lgana or kehna
"kya khusboo hai "
chhate pe baithe pure seher ka nazara dekhenge
ab tmhe toh pta h n
yeh barish mujhe kitni pasand h
chahe fagun ki ho ya sawan ki
ek long drive pr chlenge
car mai ni
tmhari "kawasaki" pr
jyda dur ni bs NH k pass wale pull k niche
waha kuch pal theher k kal ki sochenge
sath ghar basane k khwab dekhenge
anjane se plot pr ek
apna imagination wala ghr hoga
woh rail ki patriyon k kinare khade hoke
sath rail gujrte dekhenge
chupke se dekhna tum mujhe
hm tmhe aakhein bhar k dekhenge
mere dekhne pe tmhara sharmana lazmi h
tmhari nazre milte hi nazre churane ki adat aaj bhi h
baat krte krte aaj bhi hath thamoge
yeh rishta kuch alg sa hi kgta h
" na tujhse kuch pane ki chaht na tujhe khone ka koi daar bhi h"
bs ek barsat tere sath gujre yeh khwahish h