Dunia ki bheed me aksar bikhar jati hun .
Jab baat ho apne hak ki to aksar mukar jati hun.
Itni strong hote hue bhi
Jab public place me koi buri nazro se ghure
to dar jati hun.
Wo kya hai na ladki hun thodi saham jati hun.
Kahne ko to yha ladka ladki ko saman darja diya jata hai .
Par ladki hone ka ehshas hme hr pal kraya jata hai.
Aakho me ho sunhare sapno ka aasiyana.
Berok tok ho jiska ghar se aana jana.
Jisko na dar ho kya khega jamana .
Ab hme bhi chaiye khusiyon ka thikana.
Yha hmare character ko
Hmare kapdo ki length se judge kiya jata hai .
Sadak par akeli ladki ko responsibility nhi
Opportunity smza jata hai.
Jha ek taraf ghar ki bahu ko lakshmi kahkr pukara jata hai.
Wahi dusri or agar wo vidhwa ho jaye
To sara kasur aurat pr hi aata hai.
Kahne ko to pura aasman pr hme bhi hak hai utna
Pr udne ko par nhi diya jata hai.
Salike se hasna or anushasan me rhna
To hme bachpan se hi sikhaya jata hai.
Ab hm nhi sh skege ek bhi Aaghat
Aurat ke andar bhi hote hai Jajbat.
Hm wayqt kr sake apne man ki Baat
Or baat suni jaye hmari aese chaiye Haalat.
©Suruchi
#MessageToTheWorld