Umr - Kisiko paas laate hue, kisise durr jate hue | English Poetry

"Umr - Kisiko paas laate hue, kisise durr jate hue, Ek umr hai guzri sab seekhte sikhate hue. Numm jazbaat aur adhoori khwahishon ko samete hue, Ta umr rahe safar mein hum manzilein talaashte hue. Hai shukria unka jinhone haal hai pucha, warna sab hain apne ghum zamaane mein uthate hue. Kisiko paas laate hue, kisise durr jate hue. Tumhein nahi dikhta uski dilkash duniya ka ghum yaaron, jo kitna lutt chuka hai yahan sab kuch kamate hue. Unhe bas ik hansi aur thodi si muskaan de dena, jo khud se khafa hai sabko manate hue. Masroofiyat ko do ghadi karke kinare tum, kuch lamhein dena unhe jo mitt gaye tumko banate hue. Zindagi darya hai, behna hi iski rawaani hai. Baraks (contrarily) sadiyan guzarti hain bichchdon ko bhulate hue. Kisiko paas laate hue, kisise durr jaate hue. —@Kayenat Kamal. ©Kayenat Kamal"

 Umr -

Kisiko paas laate hue, kisise durr jate hue, 
Ek umr hai guzri sab seekhte sikhate hue. 
Numm jazbaat aur adhoori khwahishon ko samete hue, 
Ta umr rahe safar mein hum manzilein talaashte hue. 
Hai shukria unka jinhone haal hai pucha, warna sab hain apne ghum zamaane mein uthate hue.
Kisiko paas laate hue, kisise durr jate hue. 
Tumhein nahi dikhta uski dilkash duniya ka ghum yaaron, jo kitna lutt chuka hai yahan sab kuch kamate hue. 
Unhe bas ik hansi aur thodi si muskaan de dena, jo khud se khafa hai sabko manate hue.
Masroofiyat ko do ghadi karke kinare tum, kuch lamhein dena unhe jo mitt gaye tumko banate hue. 
Zindagi darya hai, behna hi iski rawaani hai. 
Baraks (contrarily) sadiyan guzarti hain bichchdon ko bhulate hue.
Kisiko paas laate hue, kisise durr jaate hue. 

—@Kayenat Kamal.

©Kayenat Kamal

Umr - Kisiko paas laate hue, kisise durr jate hue, Ek umr hai guzri sab seekhte sikhate hue. Numm jazbaat aur adhoori khwahishon ko samete hue, Ta umr rahe safar mein hum manzilein talaashte hue. Hai shukria unka jinhone haal hai pucha, warna sab hain apne ghum zamaane mein uthate hue. Kisiko paas laate hue, kisise durr jate hue. Tumhein nahi dikhta uski dilkash duniya ka ghum yaaron, jo kitna lutt chuka hai yahan sab kuch kamate hue. Unhe bas ik hansi aur thodi si muskaan de dena, jo khud se khafa hai sabko manate hue. Masroofiyat ko do ghadi karke kinare tum, kuch lamhein dena unhe jo mitt gaye tumko banate hue. Zindagi darya hai, behna hi iski rawaani hai. Baraks (contrarily) sadiyan guzarti hain bichchdon ko bhulate hue. Kisiko paas laate hue, kisise durr jaate hue. —@Kayenat Kamal. ©Kayenat Kamal

#WorldAsteroidDay

People who shared love close

More like this

Trending Topic