White Mujhse mohabbat nahi ki ja sakti. Meri aan | English Shayari

"White Mujhse mohabbat nahi ki ja sakti. Meri aankhon ki chamak har ek ko khoobsurat nazar aati hai, Magar is chamak ke peeche jalta sitara kisi ko manzar nahi hota. Mere jese log us mashhoor daastaan ki tarah hote hain, Jise agar kisi ne padha, toh sirf isliye ke wo mashhoor hai, Kisi ne aadhi chhodi, kisi ne ek panna palat kar rakh diya, Baqi ke alfaaz kisi ko pasand nahi paaye. Chiraagh ki tarah hote hain hum jaise log, Apni raatein roshan karne ke liye chand ka sahaara nahi lete, Bas andheron mein jalte rehte hain, Apne dard ko umeed ki lau banakar. Mere jaise log raat ban kar bhi andheron ko apna nahi paate, Bikhre aasman ki tarah hote hain, Jinhone roshni se doori bana li, Magar ab tak andheron ko poori tarah apnaya nahi. Mere jaise log saaye se ghabra kar andheron mein nahi bhaagte, Barsaat bankar intezaar karte hain, ek naye sheher ka. Khandar ki tarah hote hain hum jaise log, Jinka ek hissa kabhi ek khoobsurat mehal ka tha. Hum jaise log khamosh hote hain, shaant nahi, Samandar ke kinaaron ki tarah, Jitna gehra jaaoge, utna hi toofan, andhera, aur ujaad si duniya paoge. Mujhse mohabbat nahi ki ja sakti... ©Gargi Banerjee"

 White Mujhse mohabbat nahi ki ja sakti.
 
Meri aankhon ki chamak har ek ko khoobsurat nazar aati hai,  
Magar is chamak ke peeche jalta sitara kisi ko manzar nahi hota.  

Mere jese log us mashhoor daastaan ki tarah hote hain,  
Jise agar kisi ne padha, toh sirf isliye ke wo mashhoor hai,  
Kisi ne aadhi chhodi, kisi ne ek panna palat kar rakh diya,  
Baqi ke alfaaz kisi ko pasand nahi paaye.  

Chiraagh ki tarah hote hain hum jaise log,  
Apni raatein roshan karne ke liye chand ka sahaara nahi lete,  
Bas andheron mein jalte rehte hain,  
Apne dard ko umeed ki lau banakar.  

Mere jaise log raat ban kar bhi andheron ko apna nahi paate,  
Bikhre aasman ki tarah hote hain,  
Jinhone roshni se doori bana li,  
Magar ab tak andheron ko poori tarah apnaya nahi.  

Mere jaise log saaye se ghabra kar andheron mein nahi bhaagte,  
Barsaat bankar intezaar karte hain, ek naye sheher ka.  

Khandar ki tarah hote hain hum jaise log,  
Jinka ek hissa kabhi ek khoobsurat mehal ka tha.  

Hum jaise log khamosh hote hain, shaant nahi,  
Samandar ke kinaaron ki tarah,  
Jitna gehra jaaoge, utna hi toofan, andhera, aur ujaad si duniya paoge.  

Mujhse mohabbat nahi ki ja sakti...

©Gargi Banerjee

White Mujhse mohabbat nahi ki ja sakti. Meri aankhon ki chamak har ek ko khoobsurat nazar aati hai, Magar is chamak ke peeche jalta sitara kisi ko manzar nahi hota. Mere jese log us mashhoor daastaan ki tarah hote hain, Jise agar kisi ne padha, toh sirf isliye ke wo mashhoor hai, Kisi ne aadhi chhodi, kisi ne ek panna palat kar rakh diya, Baqi ke alfaaz kisi ko pasand nahi paaye. Chiraagh ki tarah hote hain hum jaise log, Apni raatein roshan karne ke liye chand ka sahaara nahi lete, Bas andheron mein jalte rehte hain, Apne dard ko umeed ki lau banakar. Mere jaise log raat ban kar bhi andheron ko apna nahi paate, Bikhre aasman ki tarah hote hain, Jinhone roshni se doori bana li, Magar ab tak andheron ko poori tarah apnaya nahi. Mere jaise log saaye se ghabra kar andheron mein nahi bhaagte, Barsaat bankar intezaar karte hain, ek naye sheher ka. Khandar ki tarah hote hain hum jaise log, Jinka ek hissa kabhi ek khoobsurat mehal ka tha. Hum jaise log khamosh hote hain, shaant nahi, Samandar ke kinaaron ki tarah, Jitna gehra jaaoge, utna hi toofan, andhera, aur ujaad si duniya paoge. Mujhse mohabbat nahi ki ja sakti... ©Gargi Banerjee

#Sad_shayri

People who shared love close

More like this

Trending Topic