Kya baitthi ho tum uske peechey
kamar se uski laga ke shaane
Jo wo chalata hai tez scooter
tumhe darane ko aankhain meechay
masalke uski kameez kas kar
kya thaam leti ho uska bazu
Hai yaad ab bhi mujhe tumhara
Sadak ke ghaddon pe.tez.gaadi
Nikaalne pe khafa yun hona
koi bhi ghadda ho ab sadk pe
main apni gaadi pe hun akela
Ye meri raftaar aap khud hi
hai hone lagti bohut hi kamtar
Na janey kyun hai aisa hota
hai koi aadat si ye purani.
ab aisi baton ka hai fayda kya
is aah-e-sozaan ka fayda kya
Hai tum se meri yehi guzarish
Ke tum bhi mujhko na yaad karna
Chalo main tumko bhula raha hun
Chiragh dil ka bujha raha hun
Chalo main tumko bhula raha hun
Chiragh dil ka bujha raha hun
Akele kamre main khaali baitha
Jo likh diya tha mita raha hun
Bache hain mauzu bohut jahaan main
Qalam ko apne sikha raha hun
thi teri sanson ki jismain hiddat (heat)
Wo saarey khat main jala Raha hun
Chalo main tumko bhula raha hun
Chiragh dil ka bujha raha hun
Magar bachain hain sawaal ab bhi
na tir-e-tohmat ka vaar koi
na aib-joyee ka hai irada
sawaal hain bas, sawaal hain ye
Jawaab inka agar jo dedo.
main mast-o-raqsan ,
main dast-afshan (stars in hand)
hi laut jaoonga apney ghar ko
Sawaal pehla ye poochta hun
Kabhi bhi tumney kari thi mujhse
jisey pukarey hain sab muhabbat
Sawaal dooja bhi kuch hai aisa
Kya jis tareeqay se pehli mainey
Tumhari ankhon ka khaqa bandha
kya jis tarah se kari thi maine
tumharey gesu ki tashriyaan kuch
Kya woh bhi karta hai aisi batain
Kya woh bhi choota hai ungliyon ko
tumhari nazuk si patli ungli...
#myvoice #Pyar #Zindagi #ishq #rekhta #rekhtafoundation #rekhtalovers #Se