Chali jayungi tumhare jindagi se bas itna bata to
galti kya thi meri ?
Tumko dii hui pyaar mein koi kami reh gayi ya
meri wafa mein koi khot reh gayi ,
Tumhara khayal rakhne mein koi vul ho gayi ya
duaon mein koi kasar baaki reh gayi ,
Tumhare sang beeta har wo pal fiki pad gayi ya
humdard ban ne koi chuk ho gayi ,
Bataoo na galti kya hai meri ?
Wajah bataye bina chood rahe ho,
akhir tumhare jindagi mein kya ehmiyat thi meri ?
Pyaar , wakt , ijjat ki siwa kuch maangi thi kya tumse ?
Toh aaj tumko apna kehne ka haak kyun chhin
rahe ho mujhse ?
Na jane mera dil kitni dafa ghayal hui thi
tumhare kadwi labzon se..........
Na jane ye ankhen kitni raat asq bahaya tha
tumhare achanak badal jane se ..........
Uff tak na kaha kabhi nibhayi thi rista puri sidhat se ...........
Rista humara hai toh faisla sirf tumhara kyun ?
varosa tumne toda hai to uski saja mujhe kyun ?
sath chalna nahin tha to haath mera thama kyun ?
©Rajeswari
#Love #pyaar #lovejourney #BreakUp #breakup_story #SAD #Reality #Quote #story