kholi thi ek diary
arshe ke baad mein
jindagi ki tarah panne
bhi the pile se pad gaye
ek phul tha ghulab ka
bikhra hua tha jo
adhura ek khawab sa
mai likh raha tha jo
akele rahe samet ta
harfo ko sath mein
har harf tha nayaab sa
bas khayal sa tha wo
behte rahe jajbaat
Dil mein bhare hue
qirtas ki halaat se
sabko pata tha wo
humein fakhr hai
khamosh hai hum
khudko likhte kitabon
mein hai ...
shor ankho mein bharkar
kehte qalam ki awaj se hai
fakat har baar ye mumkin
nahi khamosh rahe hum
bhar kar shor dil mein
dard bas likhte rahe hum
shor itni machi rahi
Dil mein mere sukoon nahi
khamosh hai alfaj se
bas shor andar chhupi nahi
hai bakht itni be murawat
kya likhe histab mein
kholi thi ek diary arshe ke baad mein
©its_tezmi
#Blossom #Kholi thi ek diary arshe ke baad mein