Roz subhere sham ham fir umid se uth jate hai,
fir himmat krte hai..
fir aage badh jate hai.
thokar chahe lakh khayi ho rah me
hm usse tanik b nahi ghabrate hai
roz hm prayas krte hai lekin roz ek kadam piche ho jate hai
hazar jubano ki hazar bat sunte hai hm
nikamma, nalayak asa smjhe jaate hai ham
nahi ho tum chalak, aur buddhiwale
nahi ho tum balwan ya matwale
bht pade h tumhre jase chalo kuch aur kro
chota mota kuch kam dekh kahi tum apna guzara kro
lekin sahab hm tanik b vichlit ni hote hai
zindgi hai.. isme to kisse hi ase hote hai
roz usi raah pe badhne ki koshish karte hai hum
roz khud ko jitane ki chahat me jagte hai hum
kyuki jina isi ka to nam hai
jaha har roz ek naya kohram hai
lekin bdhte jaynge hm kabi ruknge nahi
zindgi hmari hai, hm kbi jhukenge nahi
lakh gira le log hm wapas uth khade honge
ladnge hm aur hm safal b honge..
dekhegi ye duniya ek din vijay hamari
zindgi hai sahab, iska kuch asa hi kam hai
girte, smbhalte badhte chalo
kyuki jina isi ka nam hai!!!
@priyanka
#mentalHealth