Naya ik Rishta paida kiyoN kareiN hum?
bicharna hai? to jaghra kiyoN kareiN hum?
Jaun Elia
Naya ik Rishra paida kiyoN kareiN hum?
bicharna hai to jaghra kiyoN kareiN hum
khamoshi sey ada ho Rasm e Doori...
koi hangama barpa kiyoN kareiN hum?
Hamari hi tamana kiyoN karo tum?
tumhari hi Tamana kiyoN kareiN hum?
utha kar kiyoN na phenkeiN sari cheeziN...
Faqat kamroN meiN tehla kiyoN karein hum?