wo bachpqn mera kahin
kho sa gaya hai
na gilli na danda
na kho kho na dhappa
pabji se lagav thoda
ho sa gaya hai
khula tha pehle aangan
thi baccho ki tu tu main main
khali pade hain jhule
bachpan gharo main
simat sa gaya hai
na pakdam pakdai
na posampa aur pitthu
na beparwaah sa hokar
wo barish main nahana
ye maidaan suna sa ho gaya hai
©Brijesh Narain
#Wo bachpan mera kahin kho sa gya