Kabhi Khudh Jalti Hai Kabhi Mujhe Jalati Hai
Jo Aag Hai Mujhme Woh Meri Rooh Ko Satati Hai
Main Dekh Nahi Pata Khudhke Karmo Ko Jab
Yeh Mujhe Mere Gunaahon Ka Aaina Dikhati Hai
Duniya Ki Chahat Mein Jo Kuch Maine Khoya Hai
Yeh Mujhe Un Sabhi Rishton Ki Yaad Dilati Hai
Mere Apno Ka Jab Kabhi Naam Puchta Hoon Isse
Yeh Mujhe Bhari Mehfil Mein Bhi Tanha Batati Hai
Manzilon Ki Chahat Mein Bohot Dur Nikal Aaya Hoon
Yeh Laut Chal Apne Ghar Keh Kar Samjhati Hai
Sach Hai Ke Apno Ko Bohot Dard Diye Hain Maine
Yeh Usi Dard Se Har Raat Mujhe Bhi Milati Hai
Makhmal Ke Bistar Ki Khwahish Thi Mujhe Kabhi
Yeh Usi Bistar Par Bechaini Dekar Mujhe Tadpati Hai
Jab Kabhi Khali Deewaron Ko Dekhta Hoon Main
Yeh Mujhe Meri Tanhaai Ka Ehsaas Karati Hai
Kabhi Khudh Jalti Hai Kabhi Mujhe Jalati Hai
Jo Aag Hai Mujhme Woh Meri Rooh Ko Satati Hai
©Shayar India
TANHAAI #poetryunplugged #hindi_poetry #Hindi #Original #writer #shayarindia #hindipoetry #HindiPoem #urdu