White Khamoshi Khamoshi khamoshi,
Kya itna asan hai khamoshi ko samjhna
Kya Itna asan hai khamoshi se rehna,
Kisi ke door jaane se, kisi ke bhool jane se,
Kya abbhi barkarar hai vo rishta,
khamoshi se rehe jaane se,
Haan haan kahin baki hai, vo rishta kisi tehni se
Toote hue sukhe patte ki tarah,
kahin murjhye hue kisi gulab ki tarah,
Nazar rakhta hai kisi Saye ki tarah,
khamoshi se retha hai,koi farishte ki Tarah,
haan rishta nibhata andhere ki tarah,
Kabhi ayaya naa aaine mein aaine ki tarah,
Kahin chhup gaya hai, badalon mein khuda ki tarah,
mehsoos hota hai ehsaas ki Tarah,
Kho jaata hai, kahin jadugar ki tarah,
Bin bataye sari baatein samjhta hai Jazbaton ki tarah,
Khamoshi se khamoshi ki tarah,
Sath rehta hai Tanhai ki tarah,
Khamoshi Khamoshi khamoshi,
Kya itna asan hai, khamoshi ko samjhna,
Kya Itna asan hai, khamoshi se rehna,
©Aj stories
#dilsedosti #sad_shayari "सीमा"अमन सिंह @Priya singh @Parastish