Roti rahi der Tak sham ko
Kabhi bunde chehre ko chumte kagaj ke panno pe ja girte
toh kabhi
Hawa se lipat kar mujhse dur chale jaate
Par,
tab Kuch Khas andhera bhi hua na tha...,
Likhti gai dhundli si vo Suraj ki roshni mein
Kabhi hawa behta toh kabhi panchi Ghar apne laut jaate mein dekhun,
Magar...,
kuch khas andhera bhi hua na tha.....,
Sehemti mein soch mein padi Hui,
der tak ulajh gai thi..,
ki jiska intzar tha vo kya waqei kabhi Mera na ho payega,
Lekin,
Tab tak kuch khas andhera bhi hua na tha....,
Apne aap mein khoi Hui thi mein
Aur hajaron sawal dimag mein Yun chal rahe the mehesus ho raha tha jaise,
vo nah chah kar bhi Dil ko sata Rahe the
Fir bhi sham dhalne ko tha
Par kuch khas andhera bhi hua na tha...,
Dheere dheere yun andhera cha Gaya ankhon ke samne he mere,
magar patah nahi vo kaisa roshni tha Jo mujhe ye mehesus karaya ki abhi andhera hone ko baki hai
Lag toh aaise Raha tha hame,
ki,
vo sham aur vo Suraj durse he sahi
Mere likhe hue vo gile panne ko padhke bas sahara de rahe the
Aur mehesus kara rahe the mujhe ki,
Abhi kuch khas andhera bhi hua na tha.
©G.SARALIKA
#Nojoto