Beti raat bohat hogayi bhai ko saath leja Kehke ma | English Poetry Vi

"Beti raat bohat hogayi bhai ko saath leja Kehke maa ne toka, toh kabhi baap ne roka. Kyu kehte hai khudko ye mard, jab akeli aurat ko samajhte hai mauka? Ik ansuni si fariyaad hoon mai, Kaise kehdu ke azaad hoon mai. Koi kehta hai kaise kapde pehenti ho tum, Toh kisi ne chalta phirta bazar kehke bhoonka.  Koi sar-e-raah mujhe chedta raha, Toh kisi ne chehre pe tezaab hai jhonka. Phir wohi ansuni fariyaad hoon mai, Kaise kehdu ke azaad hoon mai. Dard mey tadapti rahi, woh chillayi woh rooyi. Uss raat kisi ne behen toh kisi ne beti khoyi. Insaaniyat ke qatl ki intiha dekh, aasmaan se nirbhaya ki rooh bhi rooyi hogi. Aye badalti hui sarkar walo,Insaaf ka tarazu tum yun sambhalo. Itna masroof karo tum jallad ko, ke din ho ya raat ho, ghar se nikalna har ladki ko raas ho. Nayi ik soch banao, mara hua apna zameer jagao. Bete ko padhao uske ahankar ko jalao. ~Raheeb . ©Raheeb "

Beti raat bohat hogayi bhai ko saath leja Kehke maa ne toka, toh kabhi baap ne roka. Kyu kehte hai khudko ye mard, jab akeli aurat ko samajhte hai mauka? Ik ansuni si fariyaad hoon mai, Kaise kehdu ke azaad hoon mai. Koi kehta hai kaise kapde pehenti ho tum, Toh kisi ne chalta phirta bazar kehke bhoonka.  Koi sar-e-raah mujhe chedta raha, Toh kisi ne chehre pe tezaab hai jhonka. Phir wohi ansuni fariyaad hoon mai, Kaise kehdu ke azaad hoon mai. Dard mey tadapti rahi, woh chillayi woh rooyi. Uss raat kisi ne behen toh kisi ne beti khoyi. Insaaniyat ke qatl ki intiha dekh, aasmaan se nirbhaya ki rooh bhi rooyi hogi. Aye badalti hui sarkar walo,Insaaf ka tarazu tum yun sambhalo. Itna masroof karo tum jallad ko, ke din ho ya raat ho, ghar se nikalna har ladki ko raas ho. Nayi ik soch banao, mara hua apna zameer jagao. Bete ko padhao uske ahankar ko jalao. ~Raheeb . ©Raheeb

#Silence #justice #RapefreeIndiA #wewantjustice

People who shared love close

More like this

Trending Topic