MOUT
Suna hai zindegi se bhi jyada khoobsurat mout hai
Shayad isiliye jhoot sundar aur sach kadwa hota hai...
Nind raat se chura kar insaan band ankhon main
khwab bade shiddhat se sajata hai
Haar manjoor nehi hai shayad isiliye zindegi ke maidan main
insaan mout ke jung har roz akela ladta hai...
Zara ankhein band karke toh dekho yaroon
Mout ne mohlat tak bhi nehi dega
Uss din shikayat zindegi se nehi sirf mout se hoga...
Mujhe nafrat karne wale bhi mere kafan hata ke
mere laash se lipat kar anshu bahayenge
Kabhi kaifiyat na puchne wale bhi
apne kandhe pe mere mayat uthayenge...
Zindegi main gile shikwe kise karu,Yeh khuda
mere apno ne hi mujhe kabra pe dafana denge
Jab mere rooh mere jism se hoga juda...
Mousam toh khamkha badnam hai yaaron
Yahan toh log mousam se bhi tej badalte hai
Chain se jeene na dene wale bhi
Janaze pe rooh ki chain ke liye dua mangte hai...
Insaan ko girgit kahun ya kuch aur
Yeh toh use bhi jyada rang lekar ghoomta hai
Chehre pe muskan aur pith piche khanjar chupata hai....
Suna hai zindegi se bhi jyada khoobsurat mout hai
Shayad isiliye jhoot sundar aur sach kadwa hota hai...
©Rajeswari Bal
#PhisaltaSamay MOUT 🥀