Maine is choti si umar me ek ajeeb sa sansar b dekha hai
Logo ko matlb k liye jeete bhi dekha hai
Fayda kuch apna ho iske liye apne khoon ka lihaz khote b dekha hai
Logo k dil me basi haiwaniyat k kisse ko bhi dekha hai
Maine logo ko apni maryada langhte b dekha hai
Maine logo me insaniyat khatm hote bhi dekha hai
Aur kisi na nahi to Bhagwan se to dar jaye ye
Pr maine in murkho ko to bhgwan se darte b ni dekha hai
Muh pe badi badi fekne wale ye chand log na jane khud se nazar kase milate honge
Are maine to ek patni to apne pati ki maut ki dua mangte b dekha hai
Kitna gir gaya ye zamana , kitni gandi ho gyi ye duniya waqt k sth
Maine yaha na jane aur kya kya dekha hai
Thora dil se socho to taras aata hai hr chehre pe
Kuch chehro pe bebasi to kuch pe maine bevkufi b dekha hai
Har rishte ki dhajjiyan udata hai ye jamana
Maine yaha har rishte to ujadte dekha hai
Nhi pata ki aur kitni duniyadari hai is duniya me
Lekin maine is choti si umar me kuch jyada hi duniya ko dekha hai!!
@priyanka