khamoshi ki chadar me lipti
khud se ladti rahti hu
chup chup rahkar khud se hi
yudh bhayankar karti hu
kya galat h kya sahi
man me chalta dwand hai
khamoshi ki khata ka
honsa kaisa ant hai
har din hun main sochti
har pal ko bas kosti
chup rahne ki khata
aakhir kyu maine ki
kyu dar itna samaya h
kyu man fir ghabraya h
apni har chahat ko maine
aakhir kyu dabaya h
daba do aawaz meri
rond do mere gunjan ko
na bol saku kuch bhi fir
saja mujhe aisi do
©Alka Dua
#saza_ki_haqdaar_hun_main