Waqt tha par sabar nahin
Chahiye tha par khabar nahin
Aankh moond bas maang liya tha
Uska naam jism se rooh Tak
Taang liya tha
Galat nahin ho aap har shaks yahi sochta hai
Shaid insaani dimag insaan hi dabochta hai
Par afsos aapki soch se pareh Raaz kuch or hai
Haan keh rahe hain ham baat kuch or hai
Nahin hai vo ab par ye daastan hai usse
Pata nahin par kuch alag sa hi vaasta hai usse
Ishq tha use apne khwaabon se
Jazbaaton se, armaanon se
Ki thi mehnat shiddat se har ek saanson se
Zamane ka dastoor toh pata hai aapko
Ukhaadta hai ugte insaan ko
Or poojta hai bade saheb ko
Vo bhi is padav par aa pahuchi
Logon ne uski bhi saansein thi kharochi
Badhi thi vo par badh na paayi
Ladi thi vo par lad na paayi
Nazuk Kali thi vo murjha hi gayi
Aage kuch nahin iske
Ye soch khuda ke paas
Aasman me gayi
Aksar keh dete hain na ham
Bhot himmat hai hum mein
Jhukenge nahin chahe jesa ho samay
Ek baat pucho bas khud se
Ham nahin puchenge tumse bas bina jhoot ke Zara pucho khud se
Kya is padav par me bhi ghabra jaati
Agr ghabra jaati toh kiska dosh nikalti
Mujhe nahin pata tumhara jawaab kya hai
Par mujhse puchte toh mera jawaab Zama hai
Agar tumne khud ko usme dekha hai
Part 1 Depression of this write up ....
Because of character limitation i can't post in a single post ...
Check out same layout another post for part 2 Depression