Apna kya khub najara ae jindagi tu dikha gaya ,
Leke ankhon mein anshu lab mera musukura gaya .....
kabhi bahar to kabhi pattjhad ,
kabhi suraj ki roshni to kabhi aandhi ,
Apna rukh har dissaon mein tu mudta raha ...............
kabhi kanton ki oolfat to kabhi fullon ki rukhsat ,
Apna chaal tu har mod pe badalta raha ..........
Kabhi dhup ki garmahat to kabhi chaon ki thandak ,
Apna rup har ghadi tu badalta raha .................
Tere iss atrangi pyaar mein hum din badin dhalte gaye ,
Bachpan chod aaj budhape ki aakhri saans mein aa pahunch gaye ...............
©Rajeswari
#Jindagi #Safar_E_Zindagi #safar #JourneyOfLife #Journey #Nojoto #lifequotes