Kadmo ko dekar aazaadi zubaan par tala rakha tha,
Nigahe sher ki mooh me sone ka niwala rakha tha,
Hume pehnakar paav me aala makhmal ke joote,
Khud apne paav me fate jooto ka chaahla rakha tha,
Nhi samajh paya waaldain ki kurbanio ko wo dunia me,
Jisne zubaan mithi aur qalb apna ye kala rakha tha,
Wo zindigi ke aakhri padaav par darbadar hogaye,
Jinhone pehle padaav par humare liye pala rakha tha,
Humse to apni zarurate poori nhi hoti hai fazil,
Waaldain ne rutwa humara badshao sa aala rakha tha,
©shayeri with fazil
parents