Na kr sake hifazat unn waadon ki
Jinhe sapno ke mahal mein Tumne sajaya tha
Khushiyan bhi ruth si gyi thi
Bas ik ghum hi tha jisne poora saath nibhaya tha
Waqt badla Halaat badle badal gaye kuch apne
Na hum badle Na asool badle Na hi himmat ko diya thakne
Umeedon ke ventilator pe zinda rakhe hue the kuch adhoore sapne
Na koi shikayat hai ab kisi se Na hi kisi se koi gila
Shukar hai hume Khud se Khud ko rubaroo krvane ka avsar mila
Jo beet geya wo ab bhoot kaal hai
Jab aaj ko Kal ki parwah nahi phir hume bhi zindagi se kaisa malal hai
Jee rahe the pehle ab zinda hue hain
Ehsaas ab Hua dil ko ki zindagi ke kitne pehlu anchuye hain
Pehle apni hi barbaadi ki saazish mein dil khud hi shareek tha
Karni ni aati thi isse shikayatein koi.. Masoom bahut tha..anjaan tha.. Iske liye sab theek tha
Ab aa gyi akal shayad iss Dil-e-Naadan ko
Kaabu karna seekh liya isne jazbaton ke samundar ke ufaan ko
Khuda ki bandagi se badhkar ab kuch hme gwara nahi
Dil ko talaash ab sukoon ki hai... Peecha kre kisi ki chaahat ka.. Dil itna awara nahi.
Dil-E-Naadan Ki Dastan.. #Dil-E-Nadaan #MyWritings✍️ #urdu #Poet #dastan #Hope #positivity