ye kaisi sehar hai
ye shab hai kaisi
nafrat ki aag ne
sab kuch jala diya
uthne lagi hai baatey
mandir ki gantiyun par
hangama barap raha hai
masjid ki azaan par
manatey the kal jo milkar
eid aur diwaali
hatho main leke patthar
insaaniyat jala rahe hai
©Brijesh Narain
# ye kaisi sehar hai ye shab hai kaisi
#shayeri #ghazal #poem