White Ek umr guzar gayi kuch armaan sambhalte huye | English Shayari

"White Ek umr guzar gayi kuch armaan sambhalte huye, Kuch khayalon ko,kuch logon ko apna banate huye, Aakhir mein haasil huwa kya? Jab bhi apni soch ko us aks mein milana chaha, Har dafa usme chehra paraya hi nazar aaya.... Aankhon mein jab khud ki tasveer talash ki, Toh door tak kisi aur ki he parchayi banti dekhi.. Har mulaqat mein bas khamoshi thi, Aur har nigaah ne uski,meri mohabbat ko nazarandaz kiya. Kuch baatein kehna mushkil hai, Isliye shayad kehkar bhi chup rahi... Haan, kuch dard chupane mein asar hai, Jab wo apni chahat ki baat karta hai, Aur main bas yeh khayal apne andar dabaye rehti hoon. Har lamha jo baatein uski zubaan se suni thi, Wo bas ek khushbu ki tarah hawa mein kho gayi. Kaash koi hota jo dil se yeh kehta, Ke tum jaisi ho, wahi ho bas meri... Magar har sapna sapna hi raha, Raste apne rang mein dhal gaye. Usne bhi odh liya rang-e-zamana, Jisko humne zamane se judaa paya tha... Aksar khud se yeh sawaal karti hoon ki aakhir meri khata kya thi? Kya yeh ki maine usse beinteha mohabbat ki? Ya phir yeh ki maine socha ke pyaar se mila zakhm Sirf pyaar se he bhar sakta hai? Ajeeb sa khalipan hai, Na aage manzil hai, na peeche koi nishaan... Ab bas itna ho k mere yeh kashmakash khatam ho, Yeh silsila jo chal raha tha woh ek anjaam tak pahuche. Yeh takleef ab khatam ho, Yeh dil thak chuka hai, Ab isse bhi thoda sukoon naseeb ho. ©Gargi Banerjee"

 White Ek umr guzar gayi kuch armaan sambhalte huye,
Kuch khayalon ko,kuch logon ko apna banate huye,
Aakhir mein haasil huwa kya?
Jab bhi apni soch ko us aks mein milana chaha,
Har dafa usme chehra paraya hi nazar aaya....

Aankhon mein jab khud ki tasveer talash ki,
Toh door tak kisi aur ki he parchayi banti dekhi..
Har mulaqat mein bas khamoshi thi,
Aur har nigaah ne uski,meri mohabbat ko nazarandaz kiya.

Kuch baatein kehna mushkil hai,
Isliye shayad kehkar bhi chup rahi...
Haan, kuch dard chupane mein asar hai,
Jab wo apni chahat ki baat karta hai,
Aur main bas yeh khayal apne andar dabaye rehti hoon.


Har lamha jo baatein uski zubaan se suni thi,
Wo bas ek khushbu ki tarah hawa mein kho gayi.
Kaash koi hota jo dil se yeh kehta,
Ke tum jaisi ho, wahi ho bas meri...

Magar har sapna sapna hi raha,
Raste apne rang mein dhal gaye.
Usne bhi odh liya rang-e-zamana,
Jisko humne zamane se judaa paya tha...

Aksar khud se yeh sawaal karti hoon ki aakhir meri khata kya thi?
Kya yeh ki maine usse beinteha mohabbat ki?
Ya phir yeh ki maine socha ke pyaar se mila zakhm
 Sirf pyaar se he bhar sakta hai?

Ajeeb sa khalipan hai,
Na aage manzil hai, na peeche koi nishaan...

Ab bas itna ho k mere yeh kashmakash khatam ho,
Yeh silsila jo chal raha tha woh ek anjaam tak pahuche.
Yeh takleef ab khatam ho,
Yeh dil thak chuka hai,
Ab isse bhi thoda sukoon naseeb ho.

©Gargi Banerjee

White Ek umr guzar gayi kuch armaan sambhalte huye, Kuch khayalon ko,kuch logon ko apna banate huye, Aakhir mein haasil huwa kya? Jab bhi apni soch ko us aks mein milana chaha, Har dafa usme chehra paraya hi nazar aaya.... Aankhon mein jab khud ki tasveer talash ki, Toh door tak kisi aur ki he parchayi banti dekhi.. Har mulaqat mein bas khamoshi thi, Aur har nigaah ne uski,meri mohabbat ko nazarandaz kiya. Kuch baatein kehna mushkil hai, Isliye shayad kehkar bhi chup rahi... Haan, kuch dard chupane mein asar hai, Jab wo apni chahat ki baat karta hai, Aur main bas yeh khayal apne andar dabaye rehti hoon. Har lamha jo baatein uski zubaan se suni thi, Wo bas ek khushbu ki tarah hawa mein kho gayi. Kaash koi hota jo dil se yeh kehta, Ke tum jaisi ho, wahi ho bas meri... Magar har sapna sapna hi raha, Raste apne rang mein dhal gaye. Usne bhi odh liya rang-e-zamana, Jisko humne zamane se judaa paya tha... Aksar khud se yeh sawaal karti hoon ki aakhir meri khata kya thi? Kya yeh ki maine usse beinteha mohabbat ki? Ya phir yeh ki maine socha ke pyaar se mila zakhm Sirf pyaar se he bhar sakta hai? Ajeeb sa khalipan hai, Na aage manzil hai, na peeche koi nishaan... Ab bas itna ho k mere yeh kashmakash khatam ho, Yeh silsila jo chal raha tha woh ek anjaam tak pahuche. Yeh takleef ab khatam ho, Yeh dil thak chuka hai, Ab isse bhi thoda sukoon naseeb ho. ©Gargi Banerjee

#sad_shayari #Trending

People who shared love close

More like this

Trending Topic