Papa Bahut Yaad aati hai aapki,
Aapke daant, aapki zidd, aapki baatein
or aapki kahaniyan.....
I know mai shuru se aapki laadli thi,
par bite hue kuch dino me,
mujhe ehsaas hua ki aap mujhse
kitna jyda pyaar karte ho..
Subha aankh to,
aapke daant se hi khulti thi.
Or daant sunte hi,
mai gusse se uchlti thi.
Phir aansu le kar aapke ps aati,
or dubra apse daant sun kar aakhir uth hi jaati.
Subha ke 9 bajte hi aap naste ke liye tahalka macha dete the.
Or by chance mai bol dun,
mujhe bhuk nahi hai to,
Bachon ki tarah,
mujhe zidd karke khilate the.
Pata nahi kitna kam waqt bita paungi
aapke saath soch kar roti thi,
Phir bye Beta, Khana kha lo Beta, thik se jana Beta,
Aapka ye Beta Shabd sunkar bahut khush bhi hoti thi.
jitne struggle kiye the apne wo jb sunae,
to maine bhi majak me kaha
papa kyun na ise hm kitab me chapwae?
Par apne kahani Puri sunai hi nhi.
Akhir kaise paya success
apne puri baat to btai hi nhi,
Koi nahi mai phir bhi aapke liye likhungi ek kitaab
Usme khushiyan hongi behisaab
or dard honge ek-aad.
Magar pta hai Papa aap to chale gaye,
Par aapki baatein roj hoti hain.
Pure din yaad aati hai aapki
Phir har raat ye aankhein roti hain.
©Komal Mishra
Papa Bahut Yaad aati hai aapki,
Aapke daant, aapki zidd, aapki baatein
or aapki kahaniyan.....
I know mai shuru se aapki laadli thi,
par bite hue kuch dino me,
mujhe ehsaas hua ki aap mujhse
kitna jyda pyaar karte ho..
Subha aankh to,