White SHIRK
SAWAAL: Kisi se Shirk ya Kufr ho jaaye toh kya kare ?
JAWAAB: Tauba aur tajdeede
Imaan kare biwi waala ho toh tajdeede nikha kare aur mureed ho toh tajdeede baiyyat bhi kare.
SAWAAL: Shirk aur Kufr ke
alaawa koyi dusra gunah ho jaaye toh maafi ki kya surath hai ?
JAWAAB: Tauba kare Khudaaye
Ta'ala ki baargah me roye gid gidaaye apni galti par naadim wa pasheema ho aur dil me pakka ahad kare ke aub kabhi aisi galti na karunga, sirf zuban se tauba tauba keh lena tauba nahi hai.
SAWAAL: Kya har qism ka gunah tauba se maaf ho sakta hai ?
JAWAAB: Jo gunah kisi bande
ki haqtalafi se ho maslan kisi ka maal gazab kar liya, kisi par tohmath lagaayi ya zulm kiya toh inn gunahon ki maafi ke liye zaruri hai ke pehle uss bande ka haq waapis kiya jaaye ya usse maafi maangi jaaye, fir Khudaaye Ta'ala se tauba kare toh maaf ho sakta hai. Aur jis gunah ka ta'alluq kisi bande ki haqta'lafi se nahi hai balki sirf Khudaaye Ta'ala se hai, uski doo qisme hai ek woh jo sirf tauba se maaf ho sakta hai jaise sharaab noshi ka gunah aur dusre woh jo sirf tauba se maaf nahi ho sakte hai jaise namaazon ke na padhne se gunah iske liye zaruri hai ki waqt par namaazon ke adaa na karne ka jo gunah huwa usse tauba kare aur namaazon ki kya qaza padhe agar aaqiri umr me kuch qaza reh jaaye toh unke fidiyah ki wasiyat kar
jaaye.
©Rahimuddin Eraki
Tauba Kaise Kare