White 21/Zil Hijjah /1445
28/06/2024
BIDA'ATH KA BAYAN:
SAWAAL: Bida'ath kise kehte hai? aur uski kitni qisme hai ?
JAWAAB: Istilaahe Sharaa (Islami Zaban) me Bida'ath aise cheez ke ijaad karne ko kehte hai jo Huzur Swallallaahu alaihi wa sallam ke zaahiri zamaane me na ho khwah woh cheez deeni ho ya duniyawi(AshATullamaath Jild awwal safa 125) aur Bida'ath ki teen qisme hai Bida'athe Hasna, Bida'athe Sayyia, Bida'athe Mubah. Bida'athe Hasna woh Bida'ath hai jo Qur'aan wa Hadees ke wasool wa qawaid ke mutabiq ho aur unhi par qiyaas kiya gaya ho uski doo qisme hai. Awwal Bida'athe Waajiba jaise Qur'aan wa Hadees samajhne ke liye ilme nahav ka seekhna aur gumrah firke maslan Khaarji, Raafzee, Qaadiyani aur Wahabi wagairah par rad ke liye dalaayil qayam karna. Duwwam Bida'athe Mustahaba jaise madrason ki taamir aur har woh neik kaam jiska riwaaj ibtidaaye zamaane me nahi tha jaise azaan ke baad salaat pukaarna, durre muqtaar babul azaan me hai ki azaan ke baad Assalatu Wasallamu Alaika Ya Rasoolullaah Swallallaahu alaihi wa sallam pukaarna, maahe Rabbiul Aakhiar sun 781 Hijri me jaari huwa
aur ye Bida'athe Hasna hai.
©Rahimuddin Eraki
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here