kai baar na jane kyu aesa hota hai
itni bheed mai bhi mann udaas sa rehta hai
kal tak jo ucchaiyan thi psnd aaj unn ucchaiyon se hi dar sa lagta hai
kai baar na jane kyu aesa hota hai
kal tak jo sapne dhekhne the psnd aaj unn sapno se hi alag dar sa lagta hai
kal tak jo phool the psnd aaj unhi phoolon mai ek kata sa chubta hai
kai baar na jane kyu aesa hota hai
kal tak jo sangeet tha psnd aaj uska ek ek savd karkash sa banke chubta hai
kai baar na jane kyu aesa hota hai
kal tak jo haste rehte the dil bewajah bhi aaj uss hasi ke piche bhi ek gum chubta sa rehta hai
kal tak jo udte rehte the panchi ki tarah aaj unn udano se bhi yeh dil nazane kyu darta hai
aaj melo ke itne shor mai bhi na jane kyu sanata sa lagta hai
aaj sab hote hue bhi kuch adhura sa lagta hai
kai baar na jane kyu aesa hota hai
#InspireThroughWriting