Thak haar kar jab baithta hu sofe par to ghar hi
achha lagta hai.
Ghumu chahe jahan sara par maa ka wo aanchal sachcha lagta hai..
Rakhte hi sar takiye par, yaad ghar ki aa jati aur aankhe nam si ho jati hai.
Jab ghar par jarurat ho meri, aur office se chhuti mil
nahi paati hai..
Phir iss bhhag daur par gussa bahut aata hai..
mahino ho gye MAA ke hath ke machhi bhat aur
litti chokha khaye, ab ye meggi aur oats wala
boul bhata nahi..
Increment to lagta hai par ab sukun aata nahi.
jarurate puri ho jati hai iss naye shahar mai par dil
ab behal pata nahi..
Pata nahi kyu mere shahar mai ye office shift ho
jata nahi..
Thak haar kar jab baithta hu sofe par to ghar hi
achha lagta hai.
Ghumu Chahe jahan sara par MAA ka wo aanchal sachcha lagta hai..
©Pradip Jha
#Journey