White Kabhi to zehn mein aakar nikal gae alfaz
kabhi Khud apne aap hi sheron mein Dhal gae alfaz
jinhen samajhta tha taKHil ke muawin hain
qarib aa ke wahi ab badal gae alfaz
na jaane kaun si main baat kahne wala tha
nazar kisi pe paDi to sanbhal gae alfaz
ye sach hai phande wahi aadmi ke bante hain
ghalat jo us ki zaban se nikal gae alfaz
tumhaare shahr mein jo kuchh bhi main ne dekha hai
bayan karne mein un ko dahal gae alfaz
sunega kaun sunaega kaun ab un ko
ki sab ke sath hi shoalon mein jal gae alfaz
ghazal sunai hai pur-soz 'taj' ne aisi
ki aaj aankhon mein un ki pighal gae alfaz
©व@हिD️
#GoodMorning @Aj stories @Radhey Ray @Dia #seema.k*_-sailent_*write@ @Debayan Ghosh