Ishant Jaiswal

Ishant Jaiswal

  • Latest
  • Popular
  • Video

White Manzilein ab dhundhli si lagti hain, Hawa ke sang yunhi behte ja rahe hain, Jaane kis mod par khud ko khona hai. Raaste sawaal poochhte hain, “Kya yeh manzil sach mein teri hai?” Ya mahez tumhare zehen ki khayal ka saaya hai, Khud se guftagu adhuri si hai, Ek awaaz jo dil ke kone mein chhupi hai. Chalo, ek pal khud se mil lein, Shaayad safar aur manzil ka farq wahi chhupa hai. ©Ishant Jaiswal

#sad_dp  White Manzilein ab dhundhli si lagti hain,    
Hawa ke sang yunhi behte ja rahe hain,  
Jaane kis mod par khud ko khona hai.  
Raaste sawaal poochhte hain,  
“Kya yeh manzil sach mein teri hai?”  
Ya mahez tumhare zehen ki khayal ka saaya hai,  
Khud se guftagu adhuri si hai,  
Ek awaaz jo dil ke kone mein chhupi hai.  
Chalo, ek pal khud se mil lein,  
Shaayad safar aur manzil ka farq wahi chhupa hai.

©Ishant Jaiswal

#sad_dp

12 Love

Hai se tha ka safar mein yunhi kahin kho gaye, Apne khwabon ko chhod, bas farz mein so gaye. Ishq ki talaash thi, par dard ke dariya mein doob gaye, Naa jaane kab hum khud se door aur zamane se jud gaye. Zindagi jeene ki arzoo mein bas guzarne lage raaste, Khushiyon ko bhula, bas bojhon mein bandhe hum raste. Khaabon ke sheher se door, majbooriyon mein kho gaye, Hai se tha ka safar mein yunhi kahin hum kho gaye. ©Ishant Jaiswal

#samandar #SAD  Hai se tha ka safar mein yunhi kahin kho gaye,  
Apne khwabon ko chhod, bas farz mein so gaye.  

Ishq ki talaash thi, par dard ke dariya mein doob gaye,  
Naa jaane kab hum khud se door aur zamane se jud gaye.  

Zindagi jeene ki arzoo mein bas guzarne lage raaste,  
Khushiyon ko bhula, bas bojhon mein bandhe hum raste.  

Khaabon ke sheher se door, majbooriyon mein kho gaye,  
Hai se tha ka safar mein yunhi kahin hum kho gaye.

©Ishant Jaiswal

#samandar

12 Love

Aab ki baar jo aana toh intezaar bhi saath laana, Sadiyon se suni hui khamoshi ko awaaz de jaana. Mere dil ki gehraiyon mein khoya ek armaan hai, Usse tum apne khwabon ka asmaan de jaana. Jab aayoge toh mere dil ke ehsaas ko samajhna, Meri tanhaaiyon mein bas ek raahban banke aana. Waqt ne jo bandishein tum pe lagayi hain, Unhe apne iraadon ki taqat se tod ke aana. ©Ishant Jaiswal

#UskeHaath #Quotes  Aab ki baar jo aana toh intezaar bhi saath laana,  
Sadiyon se suni hui khamoshi ko awaaz de jaana.  
Mere dil ki gehraiyon mein khoya ek armaan hai,  
Usse tum apne khwabon ka asmaan de jaana.

Jab aayoge toh mere dil ke ehsaas ko samajhna,  
Meri tanhaaiyon mein bas ek raahban banke aana.  
Waqt ne jo bandishein tum pe lagayi hain,  
Unhe apne iraadon ki taqat se tod ke aana.

©Ishant Jaiswal

#UskeHaath

11 Love

White Chaaro taraf sawalon ki parchaayi hai gheri, Wo purani chamak, wo rangat ab kahaan hai thheri. Masoomiyat bhi jaise hawaon mein ghul gayi hai, Aur sapne, jaise hum se khafa ho ke khul gaye hain. Wo din kahaan gaye jo apne the kabhi, Aur hum bhi toh kho gaye, apne hi khwab ke saaye mein kahin. ©Ishant Jaiswal

#love_shayari  White Chaaro taraf sawalon ki parchaayi hai gheri,  
Wo purani chamak, wo rangat ab kahaan hai thheri.  

Masoomiyat bhi jaise hawaon mein ghul gayi hai,  
Aur sapne, jaise hum se khafa ho ke khul gaye hain.  
Wo din kahaan gaye jo apne the kabhi,  
Aur hum bhi toh kho gaye, apne hi khwab ke saaye mein kahin.

©Ishant Jaiswal

White Na ulajh paristhiti ke bhed mein, ae dost, Duniya ka dastoor hai, samjhaane chale toh mazak uda degi, Aur jo uske rang dhundhne lago, sukoon bhi chheen legi. Jo hai, use apni aakhon se sach manzoor kar, Bas apne kirdaar ka farz imaandari se nibhaya kar. ©Ishant Jaiswal

#Sad_Status  White Na ulajh paristhiti ke bhed mein, ae dost,  
Duniya ka dastoor hai, samjhaane chale toh mazak uda degi,  
Aur jo uske rang dhundhne lago, sukoon bhi chheen legi.  
Jo hai, use apni aakhon se sach manzoor kar,  
Bas apne kirdaar ka farz imaandari se nibhaya kar.

©Ishant Jaiswal

#Sad_Status life

9 Love

White Ushe zehen se riha karna zaroori hai, Jo apne dastar mein panah na paa sake. Jis ne apni fitrat mein uljhanon ka jahan rakha, Ushe dil se alvida kehna farz hai jo sukoon na laa sake ©Ishant Jaiswal

 White Ushe zehen se riha karna zaroori hai,
Jo apne dastar mein panah na paa sake.
Jis ne apni fitrat mein uljhanon ka jahan rakha,
Ushe dil se alvida kehna farz hai jo sukoon na laa sake

©Ishant Jaiswal

White Ushe zehen se riha karna zaroori hai, Jo apne dastar mein panah na paa sake. Jis ne apni fitrat mein uljhanon ka jahan rakha, Ushe dil se alvida kehna farz hai jo sukoon na laa sake ©Ishant Jaiswal

16 Love

Trending Topic