Kaash mera ek bhai hota
O mere shaytaniyon ki gawai hota
Main ruthti o manata
O ruthta aur khud hi maan jata
Mujhe bada satata
Mere saare nakhre uthata
Meri harkatonse chid jata
Phir mujhe bewajah chidata
Har baat pe mujhe tokta
Magar mere sapno ko jeenese kabhi na rokta
Kabhi hasata, kabhi rulata
Apni kalahi pe rakhi badwata
Kaash mera ek bhai hota
O mere shaytaniyon ki gawai hota
Tum the main thi
Kuch baaten
chand mulakhaten adhuri thi
Bemausam ki barsat se main aadhi bhigi thi
Mere aanson se tumhari shirt bhi ghili thi
Tum the main thi
Kuch baaten
chand mulakhaten adhuri thi
Yahan khush rehne ki vajah nahi hoti
Mere swapn lok me muskurane ki saza nahi hoti..
Titliyan hawaon me rang bharti hai
Har sham jugnuon ki barat nikalti hai
Yahan chaand ke didar ki baat nahi hoti
Mere swapn lok amavas ki raat nahi hoti..
Khudrat ki horahi hai ajeeb azmaish,
Kuch jagah baras raha hai behisab barish..
Log milo ka safar taykarte the dekhne sagar ki kahani,
Aaj gharo me behraha hai samandaron sa paani..
Ek dusre ki madat karna aaj hai zaroori,
Chalo kare duaen aur samjhe unki bhi majburi..
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here