Pata h kitne dost hain tumhare,
Jinse baat krna lag-bagh chhoot hi gaya tha,
Jinse rishta lag-bagh toot hi gaya tha,
Jinn rishton ko tum lagh-bagh gaye hi the bhool,
Jinn rishton pr chadh gyi thi dhool,
Uss dhool ko mitaao na,
Unn yaaro ko zara phone toh milaao na.
Yaad hai kitne supne the tumhare jinhe tum sach krna chahte the,
Yaad hai kitne kaam adhoore the tumhare jinhe tum pura krna chahte the,
Pr wakt nahi paate the,
Hr wakt khud ko kissi na kissi kaam m ghira hi paate the,
Pr aaj tumare pass wakt hai!
To unn sapno ko jiiyo na,
To unn adhoore kaamo ko pura kro na!
Yaad hai phle kaise tum apne family se baatein krte the,
Thodi unki sunte toh thode apne kisse sunnate the,
Pr iss duniya ki bagha-dauri mai vo baatein kahi kho hi gyi hain,
Jo batane the kisse vo kahi dabb hi gaye hain,
Aaj jb wakt ruk sa gaya hai to chlo phir se tum apno se vo baatein krlo,
Chlo aaj phir khel-khel mai apne bhn-bhaio se ladh lo.
Jb gaadiyaan samay se bhi tez bhaagti hain,
Tb bs unke horn sunnayi dete hain,
Aree! Vo bhi kya din the- aisa ghr ke bade kehte hain,
Pr aaj vo horn nhi, vo chidiyon ka chehekna sunaayi deta hai,
Vo hawa ka jhoka kaise tumhare badan ko chuuta hai,
Nature ko jitna mehsoos krna h tumhe abhi krlo qki jld hi phir industries start ho jaayengi,
Apne saath bahot pollution le aayengi,
Phir ye chekna shyd itna na sunaayi de,
Phir na koi shyd uss hawa pr itna dhyaan de.
Inn lamho ko aaj hi tum apni aankhon mai kaid krlo,
Qki zindagi ki uss raftar mai tum phir inn choti-choti cheezon pr dhyaan na de paaoge,
Haan! Vo bhi kuch din the- bs ye hi kehte reh jaaoge.
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here