Sahi galat ke kuch baxe hai,
jinme meri azadi kaid
  • Latest
  • Popular
  • Video

Sahi galat ke kuch baxe hai, jinme meri azadi kaid hai. Rehem ki umeed mein, rihai ki arzi laye hai. Kya kehna, kaise rehna se leke kuch gehre bishay hai. Sahi galat ke kuch baxe hai, jinme meri azadi kaid hai. Galti karne ki umar nehi, sahi kaam koi hunar nehi. Tere mere soch ka bhed hai, baxe mein azadi kaid hai. Talwar uthane se darti hoon, maidan mein apne khade hai. Kambakhat kalam ki syahi bhi bagawat se range hai. Ishq ka rang chadha do, sahi galat ki deewar ko gira do. Kyunki, sahi galat ke karagar mein, insaaniyat kaidi hai. ©Surabhi Shatarupa

#guftagoo  Sahi galat ke kuch baxe hai,
jinme meri azadi kaid hai.
Rehem ki umeed mein,
rihai ki arzi laye hai.
Kya kehna, kaise rehna se leke
kuch gehre bishay hai.
Sahi galat ke kuch baxe hai,
jinme meri azadi kaid hai.
Galti karne ki umar nehi,
sahi kaam koi hunar nehi.
Tere mere soch ka bhed hai,
baxe mein azadi kaid hai.
Talwar uthane se darti hoon,
maidan mein apne khade hai.
Kambakhat kalam ki syahi bhi
bagawat se range hai.
Ishq ka rang chadha do,
sahi galat ki deewar ko gira do.
Kyunki, sahi galat ke karagar mein,
insaaniyat kaidi hai.

©Surabhi Shatarupa

#guftagoo

8 Love

Trending Topic