Humne apno ko badalte dekha,
Humne rishto ko ujadte dekha h,
zara si bat pe , zara si aanch p, humne rishto ko jhulaste dekha hai,
Naye rishto ke aage, Naye rishhto ke liye,
purane rishto ko marte dekha hai,
zara si baat pe, zara si aanch pe,humne rishto ko jhulaste dekha hai,
ho zaroorat to bat karlena, Na ho zarurat to door hojana,
Humne apno ko hi gairo ka Hote dekha hai,
Zara si baat pe,zara si aanch pe humne rishto ko jhulaste dekha hai.
Humne apno ko badalte dekha hai,
ke koi batade un badalne valo ko,
ke kitni taklif hoti h kisi ko badlta dekh kr,
ke Shayad unhone abhi hume rato me rota, ar tdapta hua nahi dekha hai,
magar humne to apno ko badalta dekha hai,
Rishto ko ujad te dekha hai,.
zara si baat par,zara si aanch par rishto ko jhulaste dekha hai.
humne apno ko Badalte dekha hai.
-Nida zulfiqar
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here